Sad Poetry


Chah Ke Bhi Kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum Karte Hain Wada Yeh Nibha Payenge Hum Khud Ko Fanna Kar Denge Is Jahaan Se Hum Par Naam Tera Na Dil Se Mita Paayenge Hum…
...

Zamane bhar ki bato me hame bhula mat dena, jab kabhi yaad aye to zara muskura dena, agar zinda rhe to milenge dost  warna is 
bande ko bhool mat jana…
...

Kabhi ek lamha aisa bhi aata hai Jisme beeta hua kal nazar aata hai Bas yaaden reh jati hai yaad karna ke liye Aur waqt sab kuch lekar guzar jata hai…
...

Muhabbat is qadar mushkil amal hai Itni zalim, itni sangdil hai Agar maloom ho jata To dil key agey hath rakh deti Sar ko jhuka leti Dil sey zidi bachey ko mana leti Chaht’on ki rah itni kathin hai Key apney ghair ho jatey hein Dil mein dard bo jatey hein  Agar maloom ho jata Bohat safak ho jati Magar tum sey na ye sunti Tum’hein mujh sey muhabbat hai Kabhi tum sey na ye kehti  Mujhey tum sey muhabbat hai
...

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay!!
Sada si kahani thi magar baab bohat thay..
...

Jab jab sham dhaley gi Dil mein werani utrey gi Ankh’ein bhar ain gi Dil dard ki sorat dhal jaye ga Jab tu rasta badal jaye ga To jana’n…… Hum tanha jee paen gey Ya… mar jain gey..???
...

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia
...

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi
...

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath
...

Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota…
...

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…
...

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?

her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .
...

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai

kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n
...


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”

Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah
...

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,

Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..
...

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,
Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,

Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..
...

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,
Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,

Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..
...

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?

Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe...
....

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla
...

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha..